You can also try my webpage http://mystroys.page.tl/Ek-Dosti-Ki-Khatir.htm
Please Visite My webpage
Please dont reply here if you wana some comment on my story so please go to my webpage and post.
Ye Story Mujhe 4 Deen Me Puri Karni Hain, So dont reply here only my scrapbook please.
~~~~~~~~~~~~~~~~Ek Dosti Ki Khatir~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~Part One~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
As-Slam-wale-kum dosto. Main Samir. Na jane kitne Samir aapki jindgi me achcha khasa dakhal rakhte hai, Lekin sabke sath wo sab nahi huya jo mere sath huya hain. Main dil ka raja tha, dosti ka shauk kuch is tarha ka tha ki maine khub dost bana rakhe the. Mere walid mujhe mana karte lekin fir bhi main baaz nahi aata tha. Ghar me 2 jawan behene thi lekin mere dosto ka mere ghar pe khoob aana jaana laga rehta tha. Ammi ko mujhse hamesha shiqayat rehti thi k main apne dosto ko ghar kyo lata huun, Lekin wo kya jane dosti ki hai to nibhana hai na.
Baat un dino ki hai hai jab main 11th ke emtehan de raha tha. mera sara waqt apne dosto me hi gujrta tha. Shaam ko milna fir subah hote hi chle jana, bas ye hi meri jindgi ka hissa ban chuke the. Mere college ke dosto ne emtehan ke nazdeek aate hi mera sath chhod diya lekin mere wo dost jo mere ghar ke paas rehte the wo bulane aa jate the jis wajah se main apni talim pe koi dhyan nahi de pata tha. Lekin main zahin tha or dimag bhi sahi tha to hamesha ki tarha is baar bhi main 3rd aaya. Ghar walo ki baate fir se shuru ho gayi. Dosto ko Chhod de aur apni talim ki bhi fikar karo, ye dost tujhe ek din marr denge,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, aur bhi pata nahi kya kya.
Din gujarte gaye or main ab 12th me aa chuka tha. wo waqya yaad karke aaj bhi dil kapp jata hai. Garmiyon ke din chal rahe the or main apne dosto ke sath ghum raha tha. Abbul chcha mere paas bhagte huye aaye or bole “ Shammu tere abbu ki tabiyat bhut kharab hai jara dekh le teri ammi babhut pareshan halat me hain or hospital lekar gayi hain, jaldi chala ja!. Main to soch raha tha k ghar pe koi nahi hoga lekin jab ammi hospital le hi ja chuki hai to main kya karunga or mujhe to dosto ke sath film dekhne jana tha is wajah se main ghar nahi gaya or 6-9 wala show dekhne chala gaya.
Ghar aaya to Meri behen Fatima or Ruksana ghar par akeli thi. Main ne aabu ke haal puchhe to wo rone lagi or mujhe kehne lagi ki bhai aap ko dekh dekh kar pareshan ho gaye aap kaha the. Main ne kaha ab to aa gaya hu na. Ammi kahan hain? Ruksana boli Ammi aspatal me hi hain. Fir to maza aa gaya. Main ne apne dosto ko ghar par bula liya kyoki aaj to aazadi thi. Ghar pe sare dost aa gaye the. Main ne Fatima ko chai banane ko kaha to wo boli k main ne banaungi Fir main ne Fatima ko danta or uss ko ek chamat mara. Wo roti huyi chai banane ke liye chali gayi. Mehmood bola ki ye ladkiya hoti hi is tarha ki jab tak inme ek pade nahi tab tak baat nahi manti. Khair chai ban kar aayi or ham sabhi ne chai ka luft uthaya fir ham tash (playing card) Khelne baith gaye. Kafi der raat tak ye silsila chalta raha. Bad me ham sab dost Thak kar so gaye.
Ye hi wo pal tha jo main apni jindgi me kabhi nahi bhula paunga. Raat ko main ne khwab me dekha k abbu ka intkaal ho gaya hai or sab ro rahe hai. Mere upar jimmedari aa gayi hai, mujhe beheno ki shadi karni hai, main aage nahi pad paunga. Wo manjar dekh kar to jaise meri aankhe khul gayi or main ghabra gaya. Ye Khawab mujhe andar hi andar jalil karne laga.
To Be continue....................................