raju
kafi khush rehne wala larka
sunita
uski wife
dono me bahot pyar tha
hamesha ki tarha raju ko is baar kaam se pune jana tha
to sunita subah se gusse me thi kyoki bahar jane ke baad raju us se bat nahi kar pata tha
sunita ne kaha waha pe jate hi
enter karte hi mujhe fone karoge bas
aur mujhe din me 10 bar call nahi ki to aap dekhna
raju haste hue bola kyo nahi jaan jee dus baar nahi dus hajar baar call karunga
raju bike nikalta hai
sunita kehti hai ki bike se kyo ja rahe ho
raju kehta hai ki jayda door to hai nahi aaram se chala jaunga aur tumhe jate hi phone karunga
raju chala jata hai
welcome to pune
jab raju ko ye dikha tha hai ki wo pune me aa chuka hai to wo sochta hai sunita bahot pareshan hogi office jane me der lagegi usko abhi bata du kay main pune me aa chaka hu
trin trin
trin trin
hello
hello
sunita main sahi se pahunch gaya hu pppppppp
kkkkkhhhhhcccccccchhhhhhhhaaaaaaaaakkkkk
tuuuuuu tuuuuuuuu tuuuuuuu tuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu
mobile band
sunita pareshan
pune hi-way pe jam lag jata hai
kyoki koi truk wala kisi bike ko takkar mar kar bhag gaya
kisi ki nigah raju ke mobile pe jati hai
aur wo call karte hai last number pe
man : hello
sunita :haan jee aap kon
man: ye jo mobile wala tha wo aapna rishteydar tha kya
sunita : kyo kya hua bataiye na
man: unka exident ho gaya hai jaldi se aa jayiye bachenge nahi ye
sunita jaldi se bus karke pune ja rahi thi
soch rahi thi ki kash wo phone karne ki zid na karti
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,