Ek Chor Sabko Chor Bana Deta Hain
Mandir Mei Jao Tehn Apni Chappal Utaro
Koi Tumhari Chappal Chura Kar Bhag Jaye To Kya Karoge?
Arre Wahi Karoge Jo Maine Kiya
Maine Dusre Ki Chappal Pehni Aur Chala Gaya
Ab Jiski Maine Churai
Wo Kisi Aur Ki Chura Kar Chala Gaya
Is Tarha Sale Ek Chor Ki Wajah Se Sabhi Chor Ban Gaye
Kya Team Hai
Agar Ye Team Work Ham Desh Ki Seema pe Dikhaye Ki HamaRa Ek Bhai Mare Aur Uske Bad Ham Bhi Apni Jaan De De Desh ke Liye
Agar Hamara Koi Friend Koi Achcha kaam karta hia fir ham bhi usko dekh kar koi us se bhi achcha kaam kare to kitna ahcha ho
lekin nahi ham sirf aur sirf chori hi karenge
kyoki achcha kaam kisi ko karna hi nahi
kisi ne hamare sath bura kiya to ham badle me usko kya denge?
us se bhi bura!!!
lekin agar kisi ne hamare sath bura kiya to hame haq nahi ki ham kisi dusre ke sath bura kare
abhi jo kahani sunayi wo sabke sath hui hogi kabhi na kabhi
kisi ke sath mandir me
to kisi ke sath dargah pe
kisi ke sath gurdware pe
lekin har koi wahi karta hai jo main ne kiya
apni chappal nahi mili to kisi dusre ki chura li
bina ye soche ki is time jitne pareshan ham hai wo bhi bechara utna hi hoga
good and best
lekin himmat karke agar tum nange paw waha se wapis jao
to kam se kam wo chori ki chain to tut jayegi na
to aage se koshish karna ki aisa na karo
starting main karta hu yaar
i am sorry (uske liye jiski chappal main ne gayab ki )
mazboori me hi sahi
lekin galat kaam hamesha galat hota hai