rocky yaar tu kya kar raha hai?
kyu aisa kar raha hai?
tu achi tarah janta hai ki ishita tujhse kitna pyar karti hai,
par tu is baat ko maanta kyu nahi hai?
dekh yaar rocky. maine hamesha tera sath diya hai,
chahe wo faisla sahi ho ya galat ho,
par agar tune ishita ko chodhne ke bare me socha bhi to yaar is faisle me main tera sath nahi dunga,
tu ishita se pyar karta hai, aur ishita tujhse,
tu usko nahi chodh sakta bhai,
aaj terko meri baat maanni hi padegi,
ye tere se meri aakhiri darkhwaish hai, request hai terse meri yaar.