Movies Home Showtimes New Releases Top Rated Upcoming Rate Movies Review Movies Random Movie
Celebrities Home Random Celebrity
Videos Home Top Favorites Random Video
People Home Random User
News Home Todays News This Weeks News This Months News Random News
Wallpapers Home Actress Actors Movies Top Favorites Random Wallpaper
Fun Stuff Home Play User Quizzes Play Non-stop Quiz Polls Discussions Upload Photo Upload Video Create Poll Create Quiz Take MTM
Search
 
Chakpak.com discussions
Start a discussion
Create a poll
Quick reply
Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
New! Ask Your Friends to Participate
FIRST   << 1 | 2 | 3 >>   LAST
Sohail Dec 19, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Taras gaya apki deedar ko,Phir bhi dil ap hi ko yaad karte hai,Humse khush naseeb to ap ka ghar ka aina hai,Jo har roz ap ka deedar to karte hai
Report Abusive post   Reply
Sohail Dec 19, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Ek ghar me 2 pagal the.

 Ek ka naam tha "tu pagal" or dusre ka "main pagal"

"tu pagal" ghar se bahar chala gaya to ghar me kaun bacha?  

 Hasso mat jawab do

Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

जब कोई ख्याल दिल से टकराता है ॥
दिल ना चाह कर भी, खामोश रह जाता है ॥
कोई सब कुछ कहकर, प्यार जताता है॥
कोई कुछ ना कहकर भी, सब बोल जाता है ॥

Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

***************************************************
*
* Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata
*
* Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye
*
* Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
*
* Isiliye mujhe zinda rakh khud maar gaye
*
****************************************************

Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
BEWAFA BANKAR KHUD PER YU SITAM DHAYA NAHI KARTE

PYAR MAIN KIYE WADE YUN BHOOL JAYA NAHI KARTE

AUR APNE DEEWANE KO IS TARAH TADPAYA NAHI KARTE

AGAR KAM NA KIYE YE SITAM TUMNE

TOH MIL NA SAKUNGA DOBARA TUMKO PHIR KABHI

KYONKI MAUT KE BAD INSAAN KABHI LAUT KAR AAYA NAHI KARTE
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
__________________
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,mur ke na dekh beete hue pal
jo nahin tha tera tujhe nahin mila,jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Hasraton se hum aapki raah sajaa denge
Sapno ki daulat hum aap par lutaa denge
Na koi phool hai aaj mere daaman mein
Lekin aapke liye palke bichhaa denge
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Na jane kis gam ko chupane ki tamanna thi usko......
aaj har ek baat per haste hue dekha usko.......
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Shab-e-firaaq ka manzar meri nazar main hai...
Aalam teri judayi ka zakhm-e-jigar main hai...

Tadpi hu teri yaad main bewajha bepanah...
Hasrato ka janaza meri chashm-e-tar main hai...

Manzil na rasta na humnasheen na humsafar...
Tareeq zindagi ki ghutan har nagar main hai...

Thukra na du is bejaan hasti ko aye dil...
Dil tadap ke pukaar utha manzil teri nazar main hai..

Gumnamiyo ke saye se ghabra gaya ye dil...
Aye dost aake thaam le dil teri dagar main hai...

Aayega tu laut ke dil ko hai ye guman kyu...
Aaja ke ankhe teri raah-o-bar main hai...

Ek nazar ki pyasi pagal main nadaan...
Dhoondu tujhe kaha zindagi qahar main hai...
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
galli koochon mien barge khushk ki surat bikharna tha,
hawa se dosti ka koi to anjaam hona hi tha,

junoon ke shahar mein lekin humari haar lazim thi,
idher ik shayar tha, us taraf sara zamana tha,

ye sari umer kis aashuftagi mein raegaan kar di ,
usi ko yaad rakha hai, jise dil se bhulana tha,

ajab wahshat ka alam hai, samjh mien kuch nahi atta,
safar ki shab musafir ko kahan khaama lagana tha,

diye jo baam per rakhe the mien ne, bhuj gaye sare,
issi tareek shab mein usi ko mare gaoon aana tha,

woh jab ohjal hue to hum bi apne app se chunke,
Use awaz deni thi, use wapis bulana tha....
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
iss tarah sataya hai pareshan kiya hai
goya ki mohabbat nahi ehsaan kiya hai

socha tha ke tum dusro jaise nahi honge
tumne bhi toh wahi kaam kiya hai

mushkil tha bahut mere liye tarq-e-talluq
yeh kaam bhi tumne mera asaan kiya hai

har roz sajate hai teri hizr me goonche
aankho ko teri yaad me guldaan kiya hai.
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Janaze ko dekhkar kyo muskurate ho........
kya tum bhi uske jaane se khushi manate ho..........
Yuh haskar us jaane wale ki aatma ko kyo rulate ho........
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
puchte ho to suno kaise basar hoti hai
raat Khairat ki.. sadqe ki sahar hoti hai

saaNs bharne ko to jeena nahi kahte ya rab
dil hi dukhta hai na ab aasteen tar hoti hai

jaise jagi hui aaNkho me chubhe kaNch ke Khwab
raat is tarah deewano ki basar hoti hai

Gam hi dushman hai mera Gam hi ko dil DhuNDta hai
ek lamhe ki judayi bhi agar hoti hai

ek markaz ki talash ek bhaTakti Khushbu
kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai
__________________
Report Abusive post   Reply
Mukesh Dec 20, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
yu teri rahguzar se deewanavar guzre
kaNdhe pe apne rakh ke apna mazar guzre

baiThe rahe hai raste me dil ka KhanDar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahaar guzre

bahtii hui ye nadiya ghulte hue kinare
koi to paar utre koi to paar guzre

tu ne bhi ham ko dekha hamne bhi tujhko dekha
tu dil hi haar guzra ham jaan haar guzre
__________________
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho
Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baagh Main Aa Jaane Ka Naam

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam,
Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab HogaSmile
Mujh Se Shadi Kar Le, Tujhko Sawaab Hoga
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum

Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.

Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki SazaCry
Jo Khata Hum Kar Na Sakay
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum Wink
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Wife ....Wife.......Wife.........
5' 6" jiski height ho,
Jeans jiski tight ho,
Chehara jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aisi apni Wife ho.
------------
Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhir main sab kahe side ho, side ho,
Bambai, Delhi ya Gujarat ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.
------------
Parosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner kay time candle light ho,
Hum me tum me kabhi na koi fight ho,
Milane ke baad dil delight ho,
Yeh kavita parhne ke baad log kahe "chikne, tum right ho",
Aisi apni Wife ho.
------------
kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho
agar aisi apni wife ho
to kya hasin life ho
------------
har kisi ki yahi farmaish ho
kudrat ki bhi aazmaaish ho
khudah ke software mein bhi bug ki gunjaish ho
ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
aisi apni wife ho!
----------------end of "Aisi Apni Wife Ho"------------------


Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga

Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab Hoga

Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hog

Maine tujhe pyar kiya, saraswati samajh kar
Tere baap ne mujhe pita, agarbattti samajh kar

Milna hai to mil
isee duniya ke chaman main
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kaphan main

Maine tujhe dekha,
handle badal badal kar
Tere baap ne mujhe peeta,
sandle badal badal kar

Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalatLaughing
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!Wink
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum…Wink
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Dec 22, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..Wink
Report Abusive post   Reply
Kashika Dec 24, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

hey dis is kashika................

i just wana knw dat whr did u get these 4m......

plz tel me d site............................

plz miss ishita.....

Report Abusive post   Reply
Eisha.....mis sd ya allll...muaaa hz.... Dec 24, 2007
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

u guyz n galz r jus owsme....i dont know gud ones bt here is one of ma fav

...............................................................................................................

dost kabhi doston sey khafa nahi hote...

dil milke kabhi juda nahi hotey...

bhula dena hamari kamiyon ko...kyun k insaan kabhi khuda nahi hote!!!

.........................................................................................................

hope u guyz like it ...n ya plz tell da sitez frm where u get all dis stuff!!!thnx

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 2, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Aap se milke hum kuch badal se gaye...

Sher padhne lage, Gungunane lage...

Pehle mashoor thi apni sanjeedgi...

Ab to jab dekhiye muskurate hai...

Aap se milke hum kuch badal se gaye.

Hum ko logoon se milne ka kab shauk tha... 

 Mehfilazayi ka kab humein shauk tha...

Aap ke vaaste humne yeh bhi kiya...

Milne-julne lage, aane jaane kage...

Aap se milke hum kuch badal se gaye.

Humne jab aapki dekhi dilchaspiyaan...

Aa gayi chand hum mein bhi tabdeeliyaan...

Ek Musabbir se bhi ho gayi dosti...

Aur Ghazlein bhi sunne-sunane lage...

Aapse milke hum kuch badal se gaye.

Aap ke baare mein pooch baitha koi...

Kya kahein humse kya bad hawa-si huyi...

Kehne waali jo thi baat woh na kahi...

Baat jo thi chupani batane lage...

Aap se milke hum kuch badal se gaye.

Ishq beghar kare, ishq bedar kare...

Ishq ka, sach hai, koi thikana nahin...

Hum jo kal tak thikane ke the aadmi...

Aapse milke kaise thikane lage...

Pehle mashoor thi apni sanjedgi....

Ab to jab dekhiye muskurane lage....

Aap se milke Hum kuch badal se gaye....

Sher padhne lage, muskurane lage...

Pehle mashoor thi apni sanjeedgi....

Ab to jab dekhiye muskurane lage....

Aap se milke hum kuch badal se gaye.

Luv u Vidya.....

Report Abusive post   Reply
Rocky
~~ achcha bachcha~~
Jan 3, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

kitne kamine ho tum sare log

chura chura kar

copy kar ke

dosro ki shayri post karte ho

achcha hai,

waise ali ne bhi ishita ko badiya fasaya hai

dobo shayari karke ishq me gir gaye  

lekin kuch milega nahi isko bhi,,,

ha ha ha ha ha Laughing

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 3, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Apni aakhon mein basakar koi iqrar karun...

Ji chahta hai ki ji bhar ke tumhein pyaar karun.

Maine kab tumse zamane ki khushi maangi hai....

Mere lab ne tumse ek halki si hasi maangi hai....

Saamne tujhko bithakar tera deedar karun....

Ji chahta hai ki ji bhar ke tulhe pyaar karun....

Apni aakhon mein basakar koi iqrar karun.

Saath choote na kabhi tera yeh dua maang lun....

Har khushi dekar tumhein sanam, tumhare ghum maang lun.

Hay! Main kis tarah se pyaar ka izhaar karun....

Ji chahta hai tujhe ji bhar ke pyaar karun....

Apni aakhon mein basakar koi iqraar karun.

Luv u Vidya

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 3, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Raat hogi to chand bhi dikhayi dega...

Khwabon mein tumhe woh chehra bhi dikhayi dega...

Yeh mohabbat hai, zara soch ke karna...

Kyunki ek aansu bhi gira to sunayi dega.

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 3, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Hum dosti mein hadh se guzar jayenge...

Yeh zindagi aapke naam kar jayenge...

Aap roya karenge humein yaad karke...

Aapke daman mein itna pyaar chod jayenge.

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 4, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Woh inqar karte hai iqrar ke liye...

Nafrat karte hai pyaar ke liye...

Ajeeb hote hai yeh mohabbat karne waale...

Aakhein bandh karte hai deedar ke liye.

Report Abusive post   Reply
Ali Jan 4, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Khada hoon is jheel ke kinare...

Sadiyaan beet gayi, zamane beet gaye...

Karta hoon yaad aaj bhi woh manzar pyaar ka...

Woh ghadiyaan beet gayi, woh lamhe beet gaye...

Bhige the us din pyaar ki jis baarish mein...

Woh megha guzar gayi, woh baadal chale gaye...

Kiye the jo waade dhadkanon ne dhadkanon se...

Woh dhadkan RUK gayi, woh waade toot gaye!Cry

Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 4, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
WHEN WE FIST MET, I NEVER THOUGHT WE WOULD BE THIS CLOSE,
BUT OUR FRIENDSHIP RIGHT NOW TO ME MEANS THE MOST.

NO MATTER WHAT HAPPENS I WILL ALWAYS BE BY YOUR SIDE,
I KNOW YOU CARE BECAUSE OF WHAT YOU SAID AND HOW YOU CRIED.

I WILL ALWAYS REMEMBER WHAT WE SAID THAT NIGHT,
THE PROMISE, THE TEARS AND EVEN THE FIGHTS.

I AM NOT TRYING TO BRING UP THE BAD THINGS OF NIGHTS PAST,
BUT THE THINGS YOU SAID TO ME, IN MY HEART THEY'LL FOREVER LAST.

WHAT I AM TRYING TO SAY IS THAT YOU WILL ALWAYS BE IN MY HEART,
EVEN IF WE ARE MILLIONS AND MILLIONS OF MILES APART!!Wink
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 4, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

DOST MILTE HAI BAHOOT ...
EK HI SACHHA HOTA HAI ...
HASTA - KHELTA HAI HAR KOI ...
BAS EK TUMHARE LIYE ROTA HAI...
TO DOSTON APNI DOSTI NIBHANA...
KABHI KISI DOST KO NA BHULANA ...
BICHHARTE HAIN DOST PER MILENGE ZAROOR ...
BASS YAHI RAAZZ HAI TUMKO BATANA...

  this is dedicated 2 u ali 4 being such a good friend

t hanx

Smile

Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 4, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
I feel you in the morning
When at first I awake
Your thought is with me
With each decision I make

You'd been around forever
Since the first breath I took
Now I have to go on alone
But for love, I need not look

Cause by what you bestowed
In our short time together
Will last in my heart
Forever and ever

Although you've left
And now walk above
I'm never alone
I'm wrapped in your love

Enjoy now your long waited reward
Feel peace that your love continues on
What was taught to me, will be taught to mine
Cause you live on in me even after you've goneFrown
Report Abusive post   Reply
Rocky
~~ achcha bachcha~~
Jan 5, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

it's 4  u rumana

BHULANA AAPKO NA AASAN HOGA

JO BHULE AAPKO WO NADAN HOGA

AAP TO BASTI HO RUH ME HAMARI,,

AAP HAME NA BHULU YE AAPKA EHSAN HOGA 

Report Abusive post   Reply
Rocky
~~ achcha bachcha~~
Jan 6, 2008
not 4 all
pal bhar mein tamam umer ki soche badal jati hain
jin raho per chalte hain wohi, rahein badal jati hain

karne ko kya nahi karte log muhabbat mein,
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai ke us ka naam sun ke tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatein(moments) badal jati hain

sochta hoon jane kaise? kah paoonga main uss say
milta hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe manzil dushwar ho aur door bhi
humsafer uss jaisa ho to muskile badal jati hain

yun to raat ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chand dekhuu to meri rate badal jati hain

mat chaho kay mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adate badal jati hain
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 6, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
tere har ek ilzaam pay yu bezubaan ho kar

kya hua gar bulaya muje beizzat karne ke liye
khush hu main teri mehfil me mehman ho kar


log padh hi lenge mohabbat teri aankhoon me
chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar


ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
kya payega mera hamdard shar e aam ho kar


mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar....

but i love u 

Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 6, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
sahemi si nigaho me khwab hum jaga denge
is dil ka chain bhi hum luta denge
tum apni chahat ka izhaar jo karo
in palko me hamesha ke liye tumhe panah denge
apne khayalo ke har kone me tumhe basa lenge
phir to hum us chand ko bhi bhula denge
tum apni chahat ka izhaar jo karo
tumhari khushi ki khatir hum apne aap ko bhi saja denge
hasa hasa ke hum tumhe rula denge
rulate hue bhi hum tumhe hasa denge
tum apni chahat ka izhaar jo karo
hamari tarah hi hum tumhe deewana bana denge
tanhai me tumhari hum mahefil saja denge
labo pe tumhari ek muskaan jaga denge
tum apni chahat ka izhaar jo karo
us izhaar ke intezaar me hum zindagi gujar denge
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 6, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Khawb gar choor na hote to aankhen na khulti,
Is silsile se tumne samjha kya hai???

Pal bhar mein hi sahi phool mehka gaya tumhe,
Kaanton ne zakhmon ke siwai diya kya hai???

Apno ne diye honge zakhm aaj aam si baat hai,
Afsoos jatane ke siwai tumne kiya kya hai???

Mohabbat ki to tarbiyat hai ke woh daga de,
Chodne se Jazba-e-Muhabbat tujhe mila kya hai???

Zindagi ke har panne par dard ki mohar lagi hai,
Us Mohar ko nazar andaaz karne ke siwaai tune kiya kya hai???
why??????????????????????? why ishita  
Report Abusive post   Reply
♥ ◄ ishita ► ♥ Jan 6, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Report Abusive post   Reply
Sweetpink ..:::::khusbu ::::::.. Jan 6, 2008
Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Main ne pooja h tjhe teir ebadat ki hai,

Tjhe chaha h sanam tjh se mohabat ki hai,

Tu agar bhool b jaye to yun he sahe,

Mai na bhoolongi m ne mohabat ki hai.

Report Abusive post   Reply
Sohail Jan 23, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine
Report Abusive post   Reply
Sohail Jan 23, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
~~Zindagi~~
lamha lamha zindagi ka battor raha hai
bikhri hui duniya ko battor raha hai
khwab jo kabhi pure nahi ho sakte
aaj un tute khawab ko jor raha hai
geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hai
Kitne hi rahon pe phoolon pe chal
aaj kaaton se muh mor raha hai
Kalam ki siayi khatam hone par
katre ke lie dil nichor raha hai
"kamal" kuch hi pal ki to hai zindagi
to aaj maut ko kyon kar door raha hai
Report Abusive post   Reply
Sohail Jan 23, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
jab koi junoon aata hai dimaag mein
apna khoon daal deta hoon chiraag mein
aik chehra ban jaata hai meri aahon se
aik soorat chhupi huii hai dil ke daag mein
dard ke siwaa mujhko milaa kuch bhi nahin
maine dil lagaaya tha khushiyon ki laag mein
lapton mein mujhko dekh kar mayous hote hain
jhoonk to dete hain mere khat woh aag mein
kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon
mil gaya tha aik shakhs phoolon ke baag mein
Report Abusive post   Reply
Sohail Jan 23, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari
khoon se rangeen deewar-o-dar banaa diya
zara sa haath maine zakhmon se utthaa diya
teri yaadon ne dastak jab bhi dil pe di
aik aah bhar lee aik aansoo bahaa diya
cheekh-te hain dil ke chhalle naam-e-marham pe
rog kaise tumne ye dil ko lagaa diya
phir bhi deta hai tum hi ko dil duaayen
mana ke tune mujhe khaak mein milaa diya
baitha hoon jaise lutt gaya ho dilli ka taaj
aaj maine tera aakhiri khat bhi jalaa diya
woh chehre ko duppatte mein chhuppaye chal diye
"Reader Name" ka ek sheyr maine kya sunaa diya
Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

                              Paigaam-e-mohabbat

Teri aankhon mein noor chhupa hain,

Teri muskurahat mein jaadu chhupa hain,

Kya bataun main to ho gaya hoon deewana,

Teri ada mein nakhrein chhupa hain.

Mujhe mohabbat mein ladkhadana sikhaaya hain tune,

Kaise kahoon tujhe main shukriya

Is bechain dil ki pyaas to bujha

Kar to humpe ehsaan itna.

Maloom nahin kab aayegi din woh suhaana,

Is pyaar ko kab milega thikana ;

Ae dilnashin zara sunn to le hamari dil ka paigaam,

Seene ki surkh deewaron mein hain likha sirf tera naam.

Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Tumhe dekhkar ek hi khayal aate hain baar baar

Apsara, pari, noor ya nazneen ho tum ;

Meri duniya, mera jahaan, mere ehsaason pe chhaya hain tera hi khumaar,

Nigah-e-mohabbat, husn-e-shabaab ya koi humnasheen ho tum.

Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Dil deke tujhe ek baat to jaani hain,

Kehte hain jise ulfat, woh zeher ka paani hain.

Dil tutega to faryaad karoge tum hi,

Hum naa honge to humein yaad karoge tum hi.

Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Mohabbat karne waale zindagi bhar kuch nahin kehte,

Samundar shor karta hain, darya kuch nahin kehte.

Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Gaana to humein bhi aata hain par koi awaaz nahin milti,

Bajana to humein bhi aata hain par koi saaz nahin milti,

Mat kar itna guroor ae taj mahal inshah jahan,

Taj Mahal to banana humein bhi aata hain PAR KOI MUMTAZ NAHIN MILTI.

Report Abusive post   Reply
Debojit dutta - saregamapa challenge 2009 - sau ko pachhad de ek aisa pattha Jan 24, 2008
Re: Sher-o-shayar i :- post ur fav shayari

Tu rooh bankar samaa gayi meri aagosh mein,

Tu chain bankar milaa gayi meri hosh mein,

Ae dilruba kya bataun tujhe,

Tu aag bankar bhadkaa gayi meri josh mein.

Report Abusive post   Reply
New! Discover People like You on Chakpak New! Ask Your Friends to Participate
FIRST   << 1 | 2 | 3 >>   LAST
 
Start a discussion
Create a poll
Quick reply