welcome to this discussion
shayad titel dekh kar laga ho ki koi galat baat ho isme
lekin aisa kuch nahi hai
dar asal baat ye hai ki main hamesha se sochta raha hu ki kya khuda, bhagwan, jesus, etc. sabhi ke liye bure hai ? aisa to nahi kya hamare sath jpo hota hai wo kismat hai, kya sabhi ki kismat alag alag likhi jati hai, kya kisi ko garib or kisi ko amir banata hai upar wala, agar main usko kisi naam se bulao to shayad or logo ko bura lagega. lekin ek baat ot fact hai ki ek supar natural power to jarur hai jisko mani bhi manta hu or aap bhi, main ne shayad hi kabhi koi achcha kam kiya ho,
aaj ke time me ham apne dog ke liye biscut pe 1000 kharch kar sakte hai, lekin kisi garib ko roti nahi de sakte hai, hame nafrat hoti hai agar wo hamare paas aa jaye to, ham usko 1 ya 2 rupya de kar waha se bhaga dete hai, dog ke liye 1000 or insan ke liye 1 ye kya baat hui, sardiya aane ko hai, ham apne gharo me aaram se soyenge, rajaiyo me, narm bistar pe, lekin kya kabhi socha hai ki 88% log road pe sote hai, bina kisi chadar ke, unke paas rajai nahi hoti, sardi se na jane kitne maarr jate hai lekin hame koi fark nahi padta, main agar bata bhi to mujhe lagta hai main ne kuch nahi kiya hai, meri jo poket money milti hai main uska 70% save karta hu, kyoki sunday ke din main aughar naath ke mandir jata hu, waha bhut sare bhikari hote hai, garibi unke chehe pe dikhayi deti hai main unko wo paise de aata hu
hindi me daaan urdu ne zakat, english me donation, french me seslisozluk,
aap sab jante hai ya nahi jante to bata du ki kuran me likha hai ki jism ki zakat hi sachhi zakat hai , isliye hi to roze rakhe jate hai jis se kudha kuch hota hai,
katho upnishid ke 17.52.6 me likha hai ki kisi ko bhuke dekh kar sone wala nark (jahennum) ki aag me jalta hai, wo aag us prani (human) ki bhuk ki hoti hai jo wo us time mehsus kar raha tha jab tumne us se aankhe fer li thi,
bible me likha hai, wo kisi ko bhuka nahi dekh sakta, wo sabko pyar karta hai, uske liye sabhi barabar hai, tumhare kiye gaye kisi galat kaam ki wajah se tumhe ye din dekhne parte hai, apni galtiyo ki mafi mango or is dard se chhut jao,
har kisi religion me likha hai, agar aap kisi religion ko nahi mante to ye to mante honge ki aap insan hai, insan ke liye sirf ek dua nahi kar sakte, main nahi janta main ne ye kyo likha hai bas ye hai main jhuta nahi hu, farebi nahi hu, kisi ka dard mera bhi dard hai, main ne sirf aapko apna dard bataya hai, aap logo ki duaye main unke liye mangna chahta hu bas, baki aapki marzi main hota kon hu,
waise main sab se bura hoon
mujhe me sab kuch hai, wahi jo sab me hai, kabhi kabhi baemani, kabhi kabhi jhuth, mouka milte hi fayda uthana, apne se aage kisi ko na jaane dena, apne aapko sab kuch samjhna, apne matlab ke liye kisi ko dukh pahuncha na, kaha tak sunau apni kamiya lekin ek baat to sahi hai na, ki ye sab baat har insan me hoti hai, isme hindu ya muslim ya if christian sab me hota hai mujh me bhi hai, matlab saff hai main insan hu
main ne bhuk nahi dekhi lekin kabhi socho to malum chalega ki aaj bhi ham me se na jane kitne log bhkhe hi so jate hai, unko roti nasib nahi hoti, main janta hu ki main akela kuch nahi kar sakta, or aapse bhi kuch nahi chahta, mera us supar natural power pe pura yakin hai, duao me asar hota hai janta hu main, shyad kehna galat na hoga ki main aapse sirf aapki duaye mang raha hu, jab bhi aap raat ko khana khaye to kam se kam ek baar un logo ke liye dua kar dijiye ki jaise aapko roti nasib hui hai wo sab ko mil jaye
that's all